Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Noha byAli Jee, Ali Shanawar Download Mp3

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Noha byAli Jee, Ali Shanawar Download 128kbps,320kbps.Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun By Ali Jee, Ali Shanawar Download Mp3 .

Latest Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Noha Download Mp3 By Ali Jee, Ali Shanawar 2022. New Noha, Nohay Noha Kiyya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Mp3 Download 320Kbps For Free.

Top Trending Pakistani Noha Kiyya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Sung by Ali Jee, Ali Shanawar Only On Filmisongs.

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Mera Nana Nabi

Meri Maan Sayeda

Mera Baba Ali

Mera Bhai Hasan

Hum Hi Hain Panjatan

Meri Kya Hai Khata

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Kiya Main Zehra Ka Jaya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Mery Nana Ny Kalma Sikhaya
Aur Quran Tum Ko Sunaya

Kya Main Nana Ka Saya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Woh Madina Jahan Mera Ghar Hai
Aur Masjid Mein Us Ghar Ka Dar Hai

Kya Main Us Ghar Mein Khaila Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Chakian Pees Kar Maan Ny Pala
Mujh Ko Nana Ny Jhoola Jhulaya

Apna Bachpan Main Bhoola Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Kamli Waly Ky Lab Choomta Tha
Kitna Pyara Mera Bachpana Tha

Kya Main Un Ka Dulaara Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Main Jo Pani Kabhi Mangta Tha
Kiun Tarhapti Thi Maan Ab Main Samjha

Paas Asghar Ky Jata Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Main Jo Chahun Baras Jayen Baadal
Khoon Mein Dooba Nazar Aaye Maqtal

Jang Karny Main Aaya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Ik Sada Thi Yeh Rehan O Sarwar
Keh Rahy Thy Hussain Ibne Haider

Kya Main Mehmaan Aya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Mp3 Song Download

Kiyya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Full Song For Free

How to Download Audio Mp3 Noha:

You can download this amazing Audio Track in Mp3 by Clicking 3 dots on right side the audio Media Player.

Leave a Comment